khaas banda mein hoon aam ghar ka aaj ghumu apni gaadi mein
haan apni gaadi mein
sikhta hoon gir gir ke 100 baari mein
100 baari mein
karoon baate sachi shatpratishat naa gaau batau joothi qawali mein
hipHop haan hiphop banado isse bajake do taali mein
samj mein naa jo aaye baat duhra doon do baari mein...
do baari mein...
Hip hop haan hiphop banadu isse bajake do taali mein...
shokh kiye galat na koi galat baat hai
badal jaa aaj kyun ki bit chooki andheri raat hai
lagg jaaye naa koi latt
kyun ki kharab latt kehlati gandi baat hai...
sudhar ne waalon ki hi banti aukaad hai...
uparwala kabhi naa puchhta bata teri kya jaat hai
vatt rahega tabtak
hu Achchha mein jab takk
baaki to logg salam karte hai
zuk zuk karr mandir mazjeed mein bhi
anjaane kisi khouf se darr darr karr
haan darr darr karr...
maa-baap nahin hote hai galat
pyaar se badi naa hoti koi dolat
bade ghar bahot saari lambi gaadi
thaath maath ki sawari
jameen jaaydaad heere moti
khwabon ki dehleeze choome sada meri jooti
sapno ki pari husn ki malika
ho poora pariwaar ho sundar balak aur baalika
arbo mein paisa kharabo mein balance
charo disha mein success ho unlimited talent
swasth tandusath nirogi khushiyon bhara jeewan
stardom naam kaam paise ke saath purn parivaarik jeevan
haan
aashirwad aur naam se hi jaane jaayenge jaan hai jab tak
ghadi ho hatho mein rolex ya ho timex karti hai sab bas taktak....tak tak
Pratik banoon confidence ka aaye naa kabhi shaq waqt
sahin baate aksarr lagti hai sabko pehle bak bak
haan bak bak
ignore karta hai dil ko aksar mooh se nikle ek hi shabd woh hai fuck fuck
harr ik pal se sikhlo milsake jitna sabak
anubhav se bada na hota kabhi koi sikshak
karega intezaar sahi waqt ka kab tak
haan kab tak?
sabr cheez to hai achchhi lekin karna sikho pehle fark
rakho sabr parr na rakho bass darr darr karr
risk le na achchha hai jeena kya hai marr marr karr...
jitna wohi sikha hai jo uth khada hua ladd ladd karr
milega hoga jo likha hai taqdeer mein
jeetna to hota hi hai harr haarr karr
matt chhod koshish karna badalna apni paristhiti naseeb maan karr
manzeel parr pohchne ke liye kuchh kaam karr
bass kaam karr....
pasand jo aaye wo kaam karr
tu hi tera raam bann
krishna quraan bhi kahe karm karr
naa ichchha o se anjaan bann
naa darr jee le zindagi jeet haar karr
marr marr karr na jee
zinda hai tab tak nishane pe tu vaar karr...
hadd karr karne ko zid teri poori
kyun ki naa aane dega woh waps tujhe puri karne khwaheesh adhuri
marr le na poori zindagi jee karr...
naa chhod naa housla kabhi haar karr...
jee le zindagi puri
jee ke poori tarah se
marzi se hona tabah bhi to kehlati ek kala hai...
sarjan toh karta betha uparwala sabse bada hai...
jee na sapno ko agar to mitana khudko hi zariyah hai...
nayak bann naa bann khalnayak
behali mein naa bhul tu bhi hai ik gayak
galt cheeze sikhate hai aksar bade logg mehngi gaadi mein
chhoot jaati aksar achchhai akal aati gir ke gandi naali mein...
boori latt mein chali jaati kitni riyasate bhi mehel se gandi naali mein
yoon hi to naa humari sone ki chidiya giri bank ki udhari mein
aati hai samaj kash maan leta baat iss baari mein
dil toh hai kehta bahot kuchh satpratishat sach harr baari mein...
lekin kaise karoon himmat khone ki cheez jo mili hai baad mein jama kiye kishte kayi baari mein...
😰
No comments:
Post a Comment